siDhiyan chaDhti hui
nabzon ko roko
upri manzil pe
ghabraya hua ek hafiza
tashkik ke mehwar pe
kal shab se
musalsal ghumta hai
is se na-waqif nahin
hum tum
magar pani ki shaKHon mein
phanse alfaz
dharti par nahin girte
unhen kah do
ki bachpan se ulajh kar
jab bhi
aankhon ke kinare
ret ka koi gharaunda
TuT jata hai
to dariya mein
bhayanak baDh aati hai
samundar naza ke aalam mein
aksar chiKHta hai
siDhiyan chaDhti hui
nabzon se kah do
Nazm
Unhen kah do
Sadiq