dur aankhon se bahut dur, kahin
ek tasawwur hai, jo be-zar kiye rakhta hai
wo koi KHwab hai ya KHwab ka andesha hai
jo mere soch ko mismar kiye rakhta hai
dur, qismat ki lakiron se bahut dur, kahin
ek chehra hai, tere chehre se milta-julta
jo mujhe nind mein bedar kiye rakhta hai
dur se, aur bahut daur ki aawazon se
ek aawaz bulati hai sar-e-sham mujhe
jaanta hun main mohabbat ki haqiqat lekin
phir bhi aaghosh-e-tamanna mein, taDap uThta hun
chehre chehre pe bikharti hui, aawazon mein
teri aawaz se aawaz kahan milti hai
ek qindil KHayalon ki magar jalti hai
tu mere pas, bahut pas, kahin rahti hai
dur hai dur bahut dur, magar phir bhi, mujhe
ek ummid sar-e-sham saja rakhti hai
ek uljhan mujhe raaton ko jaga rakhti hai
Nazm
Ummid uljhan
KHalid Malik u0027Sahilu0027