اردو हिंदी
Ummid-e-sahar ki baat suno | Shaahi Shayari
ummid-e-sahar ki baat suno

Nazm

Ummid-e-sahar ki baat suno

Faiz Ahmad Faiz

;

jigar-darida hun chaak-e-jigar ki baat suno
alam-rasida hun daman-e-tar ki baat suno

zaban-burida hun zaKHm-e-gulu se harf karo
shikasta-pa hun malal-e-safar ki baat suno

musafir-e-rah-e-sahra-e-zulmat-e-shab se
ab iltifat-e-nigar-e-sahar ki baat suno

sahar ki baat umid-e-sahar ki baat suno