ajib chakkar koi chala hai
jo shai jahan se uThana chahi
uTha na pae
jahan jo rakkha wahan wo rakkha nahin raha hai
jo likhna chaha wo likh na pae
tamam chakkar ulaT chala hai
jo KHwab ke daere se bahar tha us ne aankhon se bair rakkha
dil-o-nazar mein jise jagah di wo KHwab ban kar bikhar gaya hai
nasib mein jo nahin tha us ki talash mein zindagi laga di
jo hath mein tha wo be-KHudi mein diya hai
jo baat kahni thi us ki himmat juTa na pae
jo lab pe aaya wo harf hi ghair ho gaya hai
Nazm
UlTa chakkar
Hamida Shahin