اردو हिंदी
Uljhan | Shaahi Shayari
uljhan

Nazm

Uljhan

Nazeer Mirza Barlas

;

chand ki nazr kiye main ne nazar ke sajde
husn-e-masum ke jalwon ka parastar raha

main ne taron pe nigahon ki kamanden phenkin
ek rangin haqiqat ka talabgar raha

zehn ke parde pe raqsan hai koi aks-e-jamil
husn ke rup mein shayad wo yakayak mil jae

har nae jalwe se be-saKHta yun lipTa hun
jaise bichhDa hua ek dost yakayak mil jae

main ne alfaz mein ruman ke naghme Dhaale
sai-e-taKHliq-e-tarannum se sukun mil na saka

mutmain ho na sakin meri sulagti nazren
hasb-e-dil-KHwah mujhe zauq-e-junun mil na saka

meri aashufta-nigahi ka asar chhin jae
mujh se ai kash mera zauq-e-nazar chhin jae