wywastha bhi bahut ziyaada nahin hai
jatan jokham bahut hain
aage jo jangal hai wo
us se bhi ziyaada gunjalak hai
tapassya ke Thikane
gyan ke mantar
dhyan ki har ek siDhi par
wahi murakh
ajab sa jal tane baiTha hai yugon se
na jaane kyun
mere rawan se us ko
paraje ka KHatra hai
to yun karta hun
ab ke KHud ko KHud se tyag deta hun
Nazm
Uljhan
Khalid Karrar