karoDon chehre
aur un ke pichhe
karoDon chehre
ye raste hain ki bhiD ke chhatte
zamin jismon se Dhak gai hai
qadam to kya til bhi dharne ki ab jagah nahin hai
ye dekhta hun to sochta hun
ki ab jahan hun
wahin simaT ke khaDa rahun main
magar karun kya
ki jaanta hun
ki ruk gaya to
jo bhiD pichhe se aa rahi hai
wo mujh ko pairon tale kuchal degi pis degi
to ab jo chalta hun main
to KHud mere apne pairon mein aa raha hai
kisi ka sina
kisi ka bazu
kisi ka chehra
chalun
to auron pe zulm Dhaun
rukun
to auron ke zulm jhelun
zamir
tujh ko to naz hai apni munsifi par
zara sunun to
ki aaj kya tera faisla hai
Nazm
Uljhan
Javed Akhtar