kis se puchhun mere malik
mere jism se mujh ko ab ye KHun ki bu kyun aati hai
jabki koi zaKHm nahin hai
ghaw nahin jo dikhta ho
phir ye kaisi bu hai jo sanson mein rengti rahti hai
kapDon se chimTi hai
mere darwazon se diwaron se
mez pe rakkhe aKHbaron se risti hai
kaise main is KHun ki basi bu se chhuTkara paunga
ragaD ragaD kar KHud ko dekha
kitne hi dariyaon mein main ghota mar ke aaya lekin
KHun ki boss baDi ziddi hai
ja kar hi nahin deti hai
jabki koi zaKHm na koi ghaw badan par hai mere
aisi kaun si choT lagi thi
log to rozana marte hain
rose hi ek gardan kaTti hai
masjid mein bam bandh ke koi rose nawafil paDhta hai
ye sab to mamul hai lekin
mere jism se mujh ko phir ye KHun ki bu kyun aati hai
jabki koi zaKHm nahin hai ghaw nahin jo dikhta ho
Nazm
Uljhan
Ali Imran