tu mere pas rahe main teri ulfat mein fana
jaise angaron pe chhinTon se dhuan
bint-e-mahtab ko haale mein liye
to farozan ho magar sari tapish meri ho
phaile aflak mein be-samt safar
sath mein waqt ka rahwar liye
jis taraf mauj-e-tamanna kah de
justuju shauq ka patwar liye
guftugu rabt ke ehsas se dur
KHamushi ranj-e-mukafat se dur
chandni ki kabhi sargoshi si
phul ke narm labon ko chume
gard andesha ko shabnam dho de
qahqahe phuTin tamul ke baghair
nur uble kabhi fawwaron mein
aur nuqte mein simaT aae kabhi
tah-ba-tah khole rida zulmat ki
apni bebak nigahon se munawwar kar de
nuqta-e-wasl ye miTta hua dhabba hi sahi
hosh bahta hai to bah jaane de
to mere pas rahe main teri ulfat mein fana
Nazm
Ulfat
Abrarul Hasan