اردو हिंदी
UkhaDte KHemon ka dard | Shaahi Shayari
ukhaDte KHemon ka dard

Nazm

UkhaDte KHemon ka dard

Mazhar Imam

;

kahin bhi ja-e-aman nahin hai
na raushni mein na tirgi mein

na zindagi mein na KHud-kushi mein
aqide zaKHmon se chur paiham karahte hain

yaqin ki sans ukhaD chali hai
jamil KHwabon ke chehra-e-gham-zada se nasur ris raha hai

aziz qadron pe jaan-kani ki giraft mazbut ho gai hai
patang ki tarah kaT chuke hain tamam rishte

jo aadmi ko qarib karte the aadmi se
dilon mein qaus-e-quzah ki angDaiyan jin se TuTti thin

na fard hi ka makan salamat
na ijtimai wajud hi zer saeban hai

koi KHuda tha to wo kahan hai?
koi KHuda hai to wo kahan hai?

muhib tufan muhib-tar hai
pahaD tak ret ki tarah uD rahe hain

bas ek aawaz gunjti hai
mujhe bachao mujhe bachao

magar kahin bhi aman nahin hai
jo apni kashti pe bach rahega

wahi alaihissalam hoga