hum kahin saat-e-be-baal-o-pari
khol ke dam lete hain
reg-zaron se nikalte hain
rawani le kar
aur utar jate hain
gadrae hue pani mein
bas isi pani mein hai
apni hawas
apne chalan ka qissa
ye chalan
KHwab-gah-hast se hota hua
kashane talak jata hai
jis ki darzon se dua jhankti hai
aur KHilqat hai
ki ghaflat-bhare pahron mein hawa mangti hai
Nazm
Ujlat mein pashemani ka tazkira
Farrukh Yar