meri hamdam, mere KHwabon ki sunahri tabir
muskura de ki mere ghar mein ujala ho jae
aankh malte hue uTh jae kiran bistar se
subh ka waqt zara aur suhana ho jae
mere nikhre hue giton mein tera jadu hai
main ne meyar-e-tasawwur se banaya hai tujhe
meri parwin-e-taKHayyul, meri nasrin-e-nigah
main ne taqdis ke phulon se sajaya hai tujhe
dudh ki tarah kunwari thi zamistan ki wo raat
jab tere shabnami aariz ne dahakna sikha
nind ke sae mein har phul ne angDai li
narm kaliyon ne tere dam se chaTakna sikha
meri taKHil ki jhankar ko sakit pa kar!
chuDiyan teri kalai mein khanak uThti thin
uf meri tishna-labi tishna-labi tishna-labi!
kachchi kaliyan tere honTon ki mahak uThti thin
waqt ke dast-e-giran-bar se mayus na ho
kis ko malum hai kya hona hai aur kya ho jae
meri hamdam, mere KHwabon ki sunahri tabir
muskura de ki mere ghar mein ujala ho jae
Nazm
Ujala
Mustafa Zaidi