wo ek ghaDi bhi
kabhi meri zindagi mein aai thi ittifaqan
ki main kisi ka nahin tha
mera koi nahin tha
main lauh-e-mahfuz ki tarah tha
samajh raha tha
ki sari farda-o-di ki baaten
hain zehn par naqsh-e-jawedan si
wo sab hawadis
jo aane wale hain
lauh-e-dil par likhe hue hain
main ab kisi ka nahin hun koi mera nahin hai
agar tum us din
zara si himmat se kaam letin
zara sa tum mujh pe haq jatatin
to zindagi ka wo moD hi
kuchh ajib hota
ufuq ke us par
kaun jaane
koi mere intizar mein
kab tak apni aankhen
lahu baha kar KHarab karta
Nazm
Ufuq ke us par
Rashid Aazar