wo ek main hi nahin hun
na jaane kitne hain
jo sochte hain samajhte hain chahte bhi hain
ki phuTti hui pahli kiran se bhi pahle
ufuq pe waqt ke chamken
naya sa rang bharen
jo subh ho
to nasim-e-sahar ka sath dharen
samir ban ke bahen
rang-o-bu ki dharti par
gulon se baat karen
har gali se khul khilen
magar ye waqt
ye sahma hua Dara hua waqt
ye apne sae se bidka
ye hanpta hua waqt
kabhi idhar ko rawan hai kabhi udhar ko dawan
sapida-e-sahari kya
sawad-e-sham kahan
ufuq pe kuchh bhi nahin
hai bas ek ghaliz dhuan
Nazm
Ufaq pe
Shahab Sarmadi