abhi jang jari hai
jalne lagin bastiyan
uTh raha hai dhuan
ek KHun-rez dariya daraKHton ko sairab karta hai
jangal mai-e-nab se kitna masrur hai
jangal jari kahan hai
wo dekho pahaDon ke daron mein bhagdaD machi hai
bikharti hui fauj ke surma
piTh par zaKHm khane ke shaida
unhin ki hai miras sari udasi
jo basti ke kheton mein
gandum ke KHoshon mein chhup kar
shikam mein utarti hai
tarik kamron mein munh ko chhupati hai
aawaz de koi aawaz de
aao barfili choTi pe dauDen
samundar mein ghote lagaen
taaqub karen maut ka
aur aisa bhi ho
zindagi tohfa-e-jang
dauDate ghoDe se
banhon mein le kar nikal jaen sarpaT kahin
do-ghaDi ke liye
abhi jang jari hai
jangal ko sairab karta hai KHun-rez dariya
ki jangal ka qanun bhi to yahi hai
Nazm
Udasi
Abrarul Hasan