visal-rut ki ye pahli dastak hi sarzanish hai
ki hijr-mausam ne raste raste safar ka aaghaz kar diya hai
tumhaare hathon ka lams jab bhi meri wafa ki hatheliyon par hina banega
to soch lungi
rafaqaton ka sunahra suraj ghurub ke imtihan mein hai
hamare baghon se gar kabhi titliyon ki KHushbu guzar na pae to ye na kahna
ki titliyon ne gulab-raste badal liye hain
agar koi sham yun bhi aae ki jis mein hum tum lagen parae
to jaan lena
ki sham be-bas thi shab ki tarikiyon ke hathon
tumhaari KHwahish ki muTThiyan be-dhiyaniyon mein kabhi khulen to yaqin karna
ki meri chahat ke jugnuon ne
tumhaare hathon ke lams-e-taza ki KHwahishon mein
baDe ghanere andhere kaTe
magar ye KHadshe, ye waswase to takallufan hain
jo be-irada safar pe niklen
to ye to hota hai ye to hoga
hum apne jazbon ko munjamid raeganiyon ke supurd kar ke
ye soch lenge
ki hijr-emausam to wasl ki pahli sham se hi
safar ka aaghaz kar chuka tha
Nazm
Udas sham ki ek nazm
Noshi Gilani