اردو हिंदी
Udas kohsar ke nauhe | Shaahi Shayari
udas kohsar ke nauhe

Nazm

Udas kohsar ke nauhe

Akhtar Husain Jafri

;

pura jism aur jalta suraj
pure jism aur jalte suraj ke atraf mein

shorida-sar wahshi pani
dariyaon ko pure jism aur wahshi pani achchhe lagte hain

donon par phaila kar uDna
sare rang saja kar uDna

titli ko hamwar hawaen achchhi lagti hain
ThanDi ret pe jism sunahra

sans se sans ka rishta gahra
tum mathe se matha joDe

meri sans mein sans mila kar kis KHwahish ke sach ka
jhilmil jhilmil aansu DhunDhti ho

piritam pital ho, sona ho
tundi-e-shauq mein sare gahne achchhe lagte hain