aasman par udas baiTha chand
raat-bhar tare ginta rahta hai
chahta hai ke jhuk ke dharti ki
chum le ye chamakti peshani
aur hasrat nikal le dil ki
kaun samjhae par diwane ko
KHwahishen hasraten jo hain dil ki
KHwahishen hasraten hi rahti hain
KHwahishon par chala hai bas kis ka
hasraten kis ko ras aai hain
Nazm
Udas chand
Mohsin Aftab Kelapuri