man rasmon-riwajon ke dhagon se bani
tartar oDhni mujh se wapas le le
tum hi un mein paiwand lagate lagate haar chuki ho
to mujh ko kyunkar pesh karogi
man darwaze ki ye kunDi
andar se band karne ka
tumhein hukm diya gaya hai khol de
warna mera qad itna uncha ho gaya hai
main ab us tak KHud pahunch sakti hun
man mujhe muaf kar dena
main tujhe chhoD ja rahi hun
kyunki main apni beTi ko tariki mein
Thokaren khate nahin dekh sakungi
man main kutiya to nahin jo ek niwale ki KHatir
bap bhai sasur shauhar aur beTe ka munh takti rahun
loTti rahun un ke qadmon mein
man ye niwala mujhe pesh na kar
jo tujh ko bhi KHairaat mein mila hai
abba ki wirasat ki chauthai
aur shauhar ke haqq-e-mahr ke ehsan ka
Nazm
UDan se pahle
Ateeya Daud