اردو हिंदी
TuTe hue tare | Shaahi Shayari
TuTe hue tare

Nazm

TuTe hue tare

Makhdoom Mohiuddin

;

nawa-e-dard meri kahkashan mein Dub gai
wo chand taron ki sail-e-rawan mein Dub gai

saman-baran-e-falak ne sharar ko dekh liya
zamin walon ke dil ko nazar ko dekh liya

wo meri aah ka shoala tha koi tara na tha
wo KHak-dan ka musafir tha mah-para na tha

dilon mein baiTh gaya tir-e-arzu ban kar
falak pe phail gaya ishq ka lahu ban kar

ye sakinan-e-falak dard-o-gham ko kya jaanen
ye KHakiyon ke rah-e-besh-o-kam ko kya jaanen

wo gham ko pi to gae aansuon ko pi na sake
zamin ke zahr ko pi kar wo aur ji na sake

falak se girne lage TuT TuT kar tare
zamin pe Dher hue tir-e-ah ke mare

ye aag aur bhi upar nikal gai hoti
harim-e-arsh ko chhu kar nikal gai hoti