tu hindu banega na musalman banega
insan ki aulad hai insan banega
achchha hai abhi tak tera kuchh nam nahin hai
tujh ko kisi mazhab se koi kaam nahin hai
jis ilm ne insanon ko taqsim kiya hai
is ilm ka tujh par koi ilzam nahin hai
tu badle hue waqt ki pahchan banega
insan ki aulad hai insan banega
malik ne har insan ko insan banaya
hum ne ise hindu ya musalman banaya
qudrat ne to baKHshi thi hamein ek hi dharti
hum ne kahin bhaarat kahin iran banaya
jo toD de har band wo tufan banega
insan ki aulad hai insan banega
nafrat jo sikhae wo dharam tera nahin hai
insan ko jo raunde wo qadam tera nahin hai
quran na ho jis mein wo mandir nahin tera
gita na ho jis mein wo haram tera nahin hai
tu amn ka aur sulh ka arman banega
insan ki aulad hai insan banega
Nazm
Tu hindu banega na musalman banega
Sahir Ludhianvi