waqt ne hum ko kis raste par la Dala hai
donon
ek an-chahi ham-rahi ki suli le kar
bojhal bojhal panw dharte jaen chalte jaen
tu bhi aaKHir insan hai
tere pas bhi armanon ka resham hoga
kabhi kabhi to tu bhi dard ki sui le kar
koi lamha kaDhti hogi
chalte chalte kabhi kabhi koi bhiga pul
gae dinon ke bahr mein tujh ko jal-thal karna hoga
mere pas bhi KHwabon ki
kuchh dhajjiyan baqi hain
main bhi akasr chalte chalte kho jata hun
in dhajjiyon ko joDta rahta hun
KHud ko in mein DhunDhta rahta hun
kabhi kabhi bistar mein leTe
main ne apne aur tere mabain
aise aise la-mutanahi dariya hael dekhe hain
jin par kisi bhi rishte ka koi pul nahin banne pata
ek aisi majbur si hamdardi ki Dori mein
hum donon bandhe hue hain
jis mein hum ne samjhauton ki
kitni ganThen Dal rakhi hain
waqt ka jabr bhi kaisa hai
tujh ko tu nahin rahne deta
mujh ko main nahin hone deta
jismon ki yakjai kahin karta hai
ruhen aur kahin chhoD aata hai
Nazm
Tu bhi aisa sochti hogi
Anwar Fitrat