tumhein pyar hai, to yaqin do,
mujhe na kaho, tumhein pyar hai, mujhe dekhne ki na zid karo,
tumhein fikr ho, mere haal ki,
koi guftugu ho malal ki,
jo KHayal ho, na kiya karo,
na kaha karo meri fikr hai
main aziz-tar hun jahan se
ya iman se, na kaha karo,
na likha karo mujhe waraq par, kisi farsh par,
na udas ho, na hi KHush raho
mujhe soch kar, ya kharoch kar, meri yaad ko na aawaz do,
mujhe KHat mein likh ke KHudaon ka na do wasta
tumhein pyar mein na qarar hai, mujhe is zaban ka yaqin nahin
kuchh aur ho, jo suna na ho, jo kaha na ho jo likha na ho
to yaqin ho!
ruko aur thoDa sa zabt lo, mujhe soch lene ko waqt do,
chalo yun karo mere waste ki buland-o-baala imaraton ka lo jaeza
jo falak ko bosa laga rahi hon imaraten,
jo tumhaare pyar se le rahi hon mushabahaten
jo ho sab se ziyaada buland-o-baala alag-thalag
use sar karo,
use chhat talak, han yahin ruko, ye wo hi hai chhat,
zara sans lene ko qayam lo, mera nam lo,
to safar ki sari thakan yahin pe utar lo,
ab! mere tumhaare jo darmiyan mein hai fasla, wo zara sa hai,
wo miTa sako, to ghurur Dhati bulandiyon ko phalang do!
tumhein pyar hai to yaqin do!!
Nazm
Tumhein pyar hai, to yaqin do,
Arif Ishtiaque