اردو हिंदी
Tumhein kya? | Shaahi Shayari
tumhein kya?

Nazm

Tumhein kya?

Sulaiman Areeb

;

main apni zindagi ki note-book se kitni raaten kitne din kaTun
ki ek ek raat mein kitni qayamat-KHez raaten mujh pe TuTi hain

aur ek ek din mein kitne din hain jin mein hashr barpa
hota rahta hai

aur aisi kitni sadiyan is zamin par mujh pe biti hain
main har lamhe mein sau sau bar marta aur jita hun

hisab-e-be-gunahi har nafas par deta rahta hun
magar ye mera apna masala hai ek dam zati

tumhein kya aur kisi ko kya jo mere sath soti hain