tumhein kya
zindagi jaisi bhi hai
tum ne us ke har ada se rang ki maujen nichoDi hain
tumhein to TuT kar chaha gaya chehron ke mele mein
mohabbat ki shafaq barsi tumhaare KHal-o-KHad par
aaine chamke tumhaari did se
KHushbu tumhaare pairahan ki har shikan se
izn le kar har taraf wahshat luTati thi
tumhaare chahne walon ke jhurmuT mein
sabhi aankhen tumhaare aariz-o-lab ki kanizen thin
tumhein kya
tum ne har mausam ki shah-e-rag mein unDele zaiqe apne
tumhein kya
tum ne kab socha
ki chehron se aTi duniya mein tanha sans leti
hanpti raaton ke be-ghar ham-safar
kitni mashaqqat se gareban-e-sahar ke chaak site hain
tumhein kya
tum ne kab socha
ki tanhai ke jangal mein
siyah lamhon ki chubhti kirchiyon se kaun khela hai
tumhein kya
tum ne kab socha
ki chehron se aTi duniya mein
kis ka dil akela hai
Nazm
Tumhein kya
Mohsin Naqvi