tumhein khojti hain jo aankhen
tum un mein kise dekhte ho?
koi gum-shuda muskurahaT
jo dil ke KHalaon ko bharne lagi hai
ya ek dhun ki jis par
ye Thahri hui munjamid zindagi, raqs karne lagi hai!
tumhaare bhi man mein parindon ki chahkar phir se utarne lagi hai?
koi bhuli-bisri si sargoshi
honTon pe khilne lagi hai?
kaho! zindagi phir se milne lagi hai?
sunahri wo aankhen jo lau de rahi hain
wo qindil-e-jaan hain?
ki bhedon-bhari raushni ka nishan hain?
kabhi taq-e-jaan par sambhaale the tum ne maani jo gum ho gae the
kaho! tum ne phir bhi unhen pa liya hai?
ki phir ek nai nazm ki KHwahishon ne tumhein ja liya hai?
ye kis ko pata hai?
na jaane tum aankhon mein un ki
kise DhunDte ho
Nazm
Tumhein khojti hain jo aankhen
Arifa Shahzad