main zindagi ki kaDi masafat 
tumhaari chahat mile bina bhi mujhe yaqin hai ki kaT lunga 
main aise logon ko jaanta hun 
jinhon ne apni tamam umren 
sarab-sayon ki justuju mein yahi samajh kar guzar di hain 
ki chahaton ke ye KHwab-lamhe 
ye furqaton ke azab-lamhe 
kabhi banenge gulab-lamhe 
ye log wo hain ki jin ke yaadon ke canwas par 
visal-e-mausam ki ek mubham lakir bhi to nahin bani hai 
pa meri yaadon ke hath mein to 
tumhaari poron ka lams ab tak gulab ban kar mahak raha hai 
mujhe yaqin hai 
ki jab bhi chahun 
tumhaare be-had hasin hathon ko thamne ka har ek lamha 
mere KHayalon ke daere se nikal ke mujh ko 
visal-mausam ki KHushbuon mein muhit kar de 
mujhe yaqin hai 
main zindagi ki ye sab masafat 
kaDi masafat 
tumhaari yaadon ki KHushbuon mein bhi kaT sakta hun kaT lunga
        Nazm
Tumhaari poron ka lams ab tak
Anjum Khaleeq

