bebasi ka azab
udas raston pe chalne walo
udasiyon ka safar muqaddar hai
tum ye raste badal bhi lo to nishan-e-manzil
tumhaari aankhon ki tirgi mein
lipaT ke be-nam ho rahega
ye shahr ye bastiyan ye qarye
bas ek be-nam KHauf ki zad mein aa gae hain
tumhaari aankhon mein
kin KHizaon ki zard viraniyan basi hain
tumhaare honTon pe zahr-e-be-rang ki tahen kis liye jami hain
tumhaare chehron ka KHak sa rang
kaun se dard ka asar hai
udas raston pe chalne walo
agar ummidon ke peD patjhaD ki zad mein hain
to unhen jaDon se ukhaD phenko
tumhaari aankhon mein zard viraniyan basi hain
to apni aankhon nikal Dalo
tumhaare shahron mein KHauf aaseb ban gaya hai
to sab makanon ko rakh kar do
magar kabhi yun na ho sakega
ki jo banane ki aarzu mein bigaDte hain
wo hath hi bebasi ke pinjre mein band hain
un udas raston pe chalne walo
mujhe bhi hamrah le ke chalna
ki main akela kahan rahunga
Nazm
Tumhaari manzil kahin nahin hai
Fayyaz tahseen