salam likhta hai shaer tumhaare husn ke nam
bikhar gaya jo kabhi rang-e-pairahan sar-e-baam
nikhar gai hai kabhi subah dopahar kabhi sham
kahin jo qamat-e-zeba pe saj gai hai qaba
chaman mein sarw-o-sanobar sanwar gae hain tamam
bani bisat-e-ghazal jab Dubo liye dil ne
tumhaare saya-e-ruKHsar-o-lab mein saghar-o-jam
salam likhta hai shaer tumhaare husn ke nam
tumhaare hath pe hai tabish-e-hina jab tak
jahan mein baqi hai dildari-e-urus-e-suKHan
tumhaara husn jawan hai to mehrban hai falak
tumhaara dam hai to dam-saz hai hawa-e-watan
agarche tang hain auqat saKHt hain aalam
tumhaari yaad se shirin hai talKHi-e-aiyyam
salam likhta hai shaer tumhaare husn ke nam
Nazm
Tumhaare husn ke nam
Faiz Ahmad Faiz