tumhaare aane se pahle
kunji tale mein
ghumti hai
tumhaare daKHil hone ki aawaz aati hai
tum dhamake-dar panw
rakhte hue
aahista se ya kabhi tezi se
kamre mein kahin kisi taraf
jate hue
phir thoDi dair tak
wahin khaDe rahte ho
shayad mere sakit jism ko
dekhte ho
jo tumhaari harakat ki aawaz par
kan lagae paDa hota hai
kabhi be-KHabari mein
kabhi aagah
phir tum pani pite ho
ya nahin pite
thoDe waqfe tak
KHamoshi rahti hai
ghaDi ki Tik Tik ke darmiyan
tumhaare niwale chabane ki aawaz
sunai deti hai
aur kabhi ye aawaz mere jism ke
gard ghumne lagti hai
aur mein be-KHabar
aur kabhi aagah
tumhaari niwale chabane ki aawaz mein
shamil ho jati hun
Nazm
Tumhaare aane ke baad
Azra Abbas