tum yaad mujhe aa jate ho
jab sehn-e-chaman mein kaliyan khil kar phul ki surat hoti hain
aur apni mahak se har dil mein ek tuKHm-e-latafat boti hain
tum yaad mujhe aa jate ho
tum yaad mujhe aa jate ho
jab barkha ki rut aati hai jab kali ghaTaen uThti hain
jis waqt ki rindon ke dil se hu-haq ki sadaen uThti hain
tum yaad mujhe aa jate ho
tum yaad mujhe aa jate ho
jab meinh ki phuwaren paDti hain jab ThanDi hawaen aati hain
jab sehn-e-chaman se ghabra kar pi pi ki sadaen aati hain
tum yaad mujhe aa jate ho
tum yaad mujhe aa jate ho
jab chaudhwin shab ka chand nikal kar dahr munawwar karta hai
jab koi mohabbat ka mara kuchh ThanDi sansen bharta hai
tum yaad mujhe aa jate ho
tum yaad mujhe aa jate ho
jab raat ki zulmat ghaTti hai jab subh ka nur ubharta hai
jab koyal kuku karti hai jab panchhi pi pi karta hai
tum yaad mujhe aa jate ho
tum yaad mujhe aa jate ho
jab koi kisi ka hath pakaD kar sair ko bahar jata hai
jab koi nigah-e-shauq ke aage rah rah kar ghabraata hai
tum yaad mujhe aa jate ho
tum yaad mujhe aa jate ho
jab chaar nigahen kar ke koi mahw-e-tabassum hota hai
jab koi mohabbat ka mara us kaif mein paD kar khota hai
tum yaad mujhe aa jate ho
tum yaad mujhe aa jate ho
aflak pe jab ye lakhon tare jagmag jagmag karti hain
jab tare gin gin kar dil wale ThanDi sansen bharte hain
tum yaad mujhe aa jate ho
tum yaad mujhe aa jate ho
jab raat ka baDhta hai sannaTa chain se duniya soti hai
tab aankh meri khul jati hai aur dil ki rag rag roti hai
tum yaad mujhe aa jate ho
tum yaad mujhe aa jate ho
jab rota hai bahzad-e-'hazin' wo shair wo diwana sa
wo dil wala wo saudai wo duniya se begana sa
tum yaad mujhe aa jate ho
tum yaad mujhe aa jate ho
Nazm
Tum yaad mujhe aa jate ho
Behzad Lakhnavi