hota jo koi dusra 
karta gila main dard ka 
tum to ho dil ka muddaa 
tum se shikayat kya karun 
dekho hai bulbul nala-zan 
kahti hai ahwal-e-chaman 
main chup hun go hun pur-mehan 
tum se shikayat kya karun 
mana ki main behosh hun 
par hosh hai pur-josh hun 
ye soch kar KHamosh hun 
tum se shikayat kya karun 
tum se to ulfat hai mujhe 
tum se to rahat hai mujhe 
tum se to mohabbat hai mujhe 
tum se shikayat kya karun
 
        Nazm
Tum se shikayat kya karun
Behzad Lakhnavi

