ek aanchal hai
jo phaila hai ufuq-ta-ba-ufuq
ek saya hai jo chhaya hai dil-e-wahshi par
naghmagi ek tarah phuTti rahti hai kahin
KHamushi rang liye ghumti rahti hai kahin
DhunDhta rahta hun
lahjon mein kabhi baaton mein
DhunDhta rahta hun
KHushbu mein
kabhi chandni raaton mein tujhe
tujh ko paun to bahut dil ko sukun aaega
tujh se mil lunga to qarnon mein badal jaunga
Nazm
Tum se
Ali Zaheer Lakhnavi