kabhi tum ne dekha hai
KHwabon se aage ka manzar
jahan chand taron se ruThi hui
raat apne barahna badan par
siyah rakh mal kar
alaw ke chaaron taraf nachti hai!
kabhi tum ne jhanka hai
palkon ke pichhe
thaki nili aankhon ke andar
jahan aasmanon ki sari udasi
KHala-dar-KHala tairti hai
kabhi tum ne ek din guzara hai
raston ke donon taraf istada
ghane sabz peDon ke niche
jahan dhup apne liye
rasta DhunDhti hai!
kabhi tum ne puchha hai
chalte hue raste mein
kisi ajnabi se
pata us ke ghar ka
hawa jis ke qadmon ke miTte nishan chumti hai
nagar-dar-nagar ghumti hai!!
Nazm
Tumne use kahan dekha hai
Naseer Ahmad Nasir