tum KHubsurat daeron mein rahti ho
tumhaare baalon ko
ek mudawwar pin
farz-shanasi se thame hue hai
ek besh-qimat zanjir
tumhaari gardan ki itaat kar rahi hai
kabhi ghalat na chalne wali ghaDi
tumhaari kalai se paiwast hai
ek nazuk belt
tumhaari kamar se ham-aghosh hai
tumhaare pair
in juton ke tasmon se ghire hain
jin se tum hamari zamin par chalti ho
main un chhupe hue daeron ka zikr nahin karunga
jo tumhein thame hue ho sakte hain
unhen itna hi KHubsurat rahne do
jitne ki wo hain
main ne tum par kabhi
KHayalon mein kapDe utarne ka khel nahin khela
tum KHubsurat daeron mein rahti ho
aur main mushkil lakiron mein
mein tumhaare liye kya kar sakta hun
siwae
apne munh mein us gend ko le kar tumhaare pas aane ke
jise tum ne Thokar lagai
Nazm
Tum KHub-surat daeron mein rahti ho
Afzal Ahmad Syed