shaguftagi ka latafat ka shahkar ho tum
faqat bahaar nahin hasil-e-bahaar ho tum
jo ek phul mein hai qaid wo gulistan ho
jo ek kali mein hai pinhan wo lala-zar ho tum
halawaton ki tamanna, malahaton ki murad
ghurur kaliyon ka phulon ka inkisar ho tum
jise tarang mein fitrat ne gungunaya hai
wo bhairwin ho, wo dipak ho wo malhaar ho tum
tumhaare jism mein KHwabida hain hazaron rag
nigah chheDti hai jis ko wo sitar ho tum
jise uTha na saki justuju wo moti ho
jise na gundh saki aarzu wo haar ho tum
jise na bujh saka ishq wo paheli ho
jise samajh na saka pyar bhi wo pyar ho tum
KHuda kare kisi daman mein jazb ho na saken
ye mere ashk-e-hasin jin se aashkar ho tum
Nazm
Tum
Kaifi Azmi