harf ke tar mein jitne aansu piroe gae
dard un se fuzun tha
suno to kahun
tum kaho to kahun zarf ki dastan
ketiyon ko gila baadalon se nahin surajon se bhi tha
bazuon se bhi tha hal pakaDne se pahle hi jo thak gae
kisht-e-zar-KHez par aab-e-namkin jam sa gaya
raqs tham sa gaya
eDiyan ghumte ghumte ruk gain
ashk ruKHsar ki ghaTiyon se gira munjamid ho gaya
rang KHushbu bana to hawa chal paDi
KHwab nata bana to khuli khiDkiyon mein salaKHen ugin
hath zaKHmi hue
kis ke kashkol se kitne sikke gire
hijr kaisa parinde ki aankhon mein tha
ghaw kaise pahaDon ke sine pe the
aaina gung tha
farsh par aks dham se gira
kirchiyan ho gaya
tum kaho to ginun
tum kaho to chunun
tum kaho to sunun in khule phul ki dhaDkanen
gum-shuda titliyon ki sada
zard Tahni ke honTon pe rakkhi hui bad-dua
aasmanon ki dahliz par phenk dun
tum kaho to dikhaun tumhein
ek tamasha ki jo meri muTThi mein hai
ek gardan ki jo gham ke phande mein hai
sans chalti bhi hai aur chalti nahin
jaan nikalti nahin
Nazm
Tum kaho to kahun
Javaid Anwar