اردو हिंदी
Tum kahan ho | Shaahi Shayari
tum kahan ho

Nazm

Tum kahan ho

Ahmad Azad

;

meri nind ek parinda hai
jo gum ho gaya hai

tumhaari aankhon mein
tumhaari aankhen kahan hain

mera dil
bhara rahta hai

us baadal ki tarah
jise talash hai tumhaari dhup ki

tumhaare husn ka suraj kahan hai
ek jang jo main hun

ghira rahta hun apne aap mein
aur ek shahzadi

jise bula raha hai ye jangal
ai shahzadi tum kahan ho