tum jo aate ho
to kuchh bhi nahin rahta maujud
tum chale jate ho
aur bolne lagte hain tamam
adh-khile phul
samaat pe jami chap hawa band makan
guftugu karne ke aasan mein ruke sab ajsam
murda lamhat ka ek Dher pahaD
abr ki qash uThi mauj ka sakit andam
barf lab palkon pe Tanke hue moti aansu
aur sile kanon mein aawaz ki suiyan be-jaan
yak-ba-yak bolne lagte hain tamam
zindagi bunne mein ho jati hai phir se masruf
waqt ho jata hai phir KHak-ba-sar be-aram
ek panchhi jise uDte chale jaana hai KHuda jaane kahan
aur main tinkon ke bikhre hue bistar ki tarah
muntazir lauT ke tum aao kisi roz yahan
phir hon ek bar muattal
ye zamin aur zaman
Nazm
Tum jo aate ho
Wazir Agha