din nikalte hain bikhar jate hain
shahr baste hain ujaD jate hain
dastaken aahani darwaze par
sar ko Takra ke palaT jati hain
gumbad-e-KHamushi girta hi nahin
chalti rahti hai hawa
kheton mein dalanon mein
aur apne hi talatum mein utar jati hai
har taraf phul bikhar jate hain
dil ki miTTi pe koi rang utarta hi nahin
aankh nazzara-e-mauhum se haTti hi nahin
zehn us hajla-e-tariki-o-tanhai mein
apne kanTon pe paDa rahta hai
waqt aata hai guzar jata hai
tum jo aate ho to tartib ulaT jati hai
dhund jaise kahin chhaT jati hai
naram poron se koi haule se
dil ki diwar gira deta hai
ek khiDki kahin khul jati hai
aankh ek jalwa-e-sad-rang se bhar jati hai
koi aawaz bulati hai hamein
tum jo aate ho
to is habs dukhan ke ghar se
ranj-e-ainda-o-rafta ki thakawaT se
nikal lete hain
tum se milte hain
to duniya se bhi mil lete hain
Nazm
Tum jo aate ho
Abrar Ahmad