sardi ki dhup
tumhaare badan ki tarah
garm hai
main ne kaghaz ki kashti bana kar
us par tera aur apna nam likh kar
use chashme mein Dala hai
jis mein se
tum abhi naha kar bahar nikli ho
aaram-kursi par baiTh kar
baal sukhate hue
tum muskura rahi ho
mere hath mein ek seb hai
jis ko tum jahan se bhi kaTogi
wahan se miTha niklega
Nazm
Tum jahan se seb kaTogi
Irshad Shaikh