mera dil der tak soe hue munh ki bas tha
jahan tum KHud-raw phul ban kar khil uThi thin
tumhaara munawwar wajud
meri tarik ruh mein sarma ki dhup bana
tumhaari aankhon ki nami se kai bahaaron ne KHumar piya
juton se giri miTTi se bane mere hath
tumhaari tarashida golaiyon se mil kar
jannat ki jhil ban gae
tumhaare sine se phuTti aabshaar ki mausiqi ne
meri zaKHmi samaat ko surila git bana diya
mere banjar taKHayyul mein jahan jahan tumhaare qadam lage
wahan main nai duniya ban kar taKHliq hua
ab tum ja chuki ho
mere aansuon ki nadi
ek Tahni ko bhi shajar nahin kar saki
mere iradon ki shabnam
ek konpal ko bhi phul nahin kar saki
samjhaute ka bheDiya
mere zarre zarre se tumhein noch raha hai
aur udasi Dubte suraj ki aaKHiri kiran ban kar
mere kandhon par andhere ki chadar Dal rahi hai
Nazm
Tum ja chuki ho
Zahid Imroz