اردو हिंदी
Tum aur main | Shaahi Shayari
tum aur main

Nazm

Tum aur main

Ateeya Daud

;

mujhe gosht ki thaali samajh kar
chil ki tarah jhapTa marte ho

ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun

mujh se tumhaara moh aisa hai
jaisa billi ka chhichhDe se

is ko main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun

mere badan ko khilauna jaan kar
marzi ho to khelo marzi ho to toD Dalo

ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun

main tumhaare show-case mein sajai guDiya
kitni bhi us ki tarif karo

ise main pyar samjhun
itni bholi nahin hun main

rasmon ki naika mujhe waishya banae
aur nachae tumhaari KHwahishon ke chakle mein

ise main pyar samjhun
itni bholi main nahin hun