ab kyun us din ka zikr karo
jab dil TukDe ho jaega
aur sare gham miT jaenge
jo kuchh paya kho jaega
jo mil na saka wo paenge
ye din to wahi pahla din hai
jo pahla din tha chahat ka
hum jis ki tamanna karte rahe
aur jis se har dam Darte rahe
ye din to kai bar aaya
sau bar base aur ujaD gae
sau bar luTe aur bhar paya
ab kyun us din ka zikr karo
jab dil TukDe ho jaega
aur sare gham miT jaenge
tum KHauf-o-KHatar se dar-guzro
jo hona hai so hona hai
gar hansna hai to hansna hai
gar rona hai to rona hai
tum apni karni kar guzro
jo hoga dekha jaega
Nazm
Tum apni karni kar guzro
Faiz Ahmad Faiz