tum aasman ki taraf na dekho
ye chand ye kahkashan ye tare
yun hi chamakte rahenge sare
yun hi ziya-bar honge daim
yahi rahega nizam qaem
tum aasman ko ho dekhte kya
karo nazara dil-e-hazin ka
gham-e-mohabbat ke dagh dekho
ye TimTimate charagh dekho
hai chand roza numud un ki
nahin hai kuchh etibar-e-hasti
ye shama KHamosh ho na jae
ye baKHt-e-be-dar so na jae
tum aasman ki taraf na dekho
yun hi sada jalwa-bar hogi
hazar kya lakh bar hogi
haTa lo aankh apni charKH par se
nazar milao meri nazar se
in aansuon ki bahaar dekho
rawan hai aabshaar dekho
hai chand hi din ki ye rawani
rahegi kab tak ye zindagani
ye qalb KHun ho ke bah na jae
ye chashma bah bah ke rah na jae
tum aasman ki taraf na dekho
Nazm
Tum aasman ki taraf na dekho
Sufi Tabassum