اردو हिंदी
Tum aaoge | Shaahi Shayari
tum aaoge

Nazm

Tum aaoge

Shaista Habeeb

;

mere ghar ki diwaren ab mujh ko chaT rahi hain
sare shahr ki miTTi mein jo mera hissa tha

wo bhi logon mein taqsim hua hai apni us ki qabr par meri aankhen
uDti dhul ki

KHushbu thame laTak kar leT gai hain
aise samay ab kaun aata hai

TeDhi tirchhi ungliyon mein sare wafa ke dhage halke halke TuT rahe hain
haDDiyon ke jalne ki bu bistar ki shiknon mein ghulne lagi hai

darwazon ko band karo ya kholo
hawa mein shoale maddham maddham rakh ki surat sote jate hain

aur hum ukhDi sans ke waqfe mein lafzon ke tawiz gale mein Dale
taswiron se puchhte hain tum aaoge

aaoge to apni aawazon ke sae bhi le jaana
sare KHwab aur parchhain tumhaari sal-girah ka tohfa hain

in par nae chamkile waraq laga kar
aisi hi laDki ko bhejwana jis ko tum ne apna kaha ho

wo laDki bhi darwazon ki darwazon se ab harf-e-wafa ko sunne lagi hai
is ko tum mat tarsana us ke pas chale jaana

ya us ko pas bula lena wo aa jaegi
laDki hai na kahna kaise Talegi