kise yaqin tha ki palTegi raat ki kaya
kaTi to raat magar ek ek pal gin gin
ufuq pe aai bhi thi surKHi-e-sahar lekin
sahar ke sath hi abr-e-siyah bhi aaya
sahar ke sath hi hadd-e-nigah tak chhaya
ye kya ghazab hai ki ab tira-tar hai raat se din
zamana shoKH shuao udas hai tum bin
bas ek jhalak ki uThe sar se ye ghana saya
ye Dar bhi hai ki shuaen na jagmaga uTThen
koi shuaa jo uThi bhi le ke angDai
aur uTh ke aalam-e-tarik mein wo dar aai
tu aa ke dekhegi hai nur-o-be-basar aankhen
nahin hai jan ke liye farq nur-o-zulmat mein
ki ab hain KHwab-e-adam mein sahar ke saudai
Nazm
Tulua
Zia Jalandhari