jo subh ne bansari bajae hawaen karwaT badal rahi hain
wasia dariya ki halki maujen taDap rahi hain uchhal rahi hain
dhula hua narm narm sabza zamin ke sine se uTh raha hai
hawa ke jhonkon se mast ho ho ke nannhi shaKHen machal rahi hain
udhar jo dariya hain gungunate idhar parinde hain chahchahate
sadaen belon ki ghanTiyon ki surile naghmon mein Dhal rahi hain
paDi hai aalam mein ek halchal chaman chaman ho rahi hain dhumen
ufuq ke aiwan-e-atishin se sunahri kirnen nikal rahi hain
ye kis ki aamad ka hai ishaara ki nur har-su baras raha hai
ye kis ke jalwe ke dekhne ko jahan sara taras raha hai
2
ai mehr-e-taban nikal ke bahar udas ghunchon ko to hansa de
zamin barish se hai fasurda pakaD ke shana zara hila de
lagi hai teri hi aas sab ko amir hun ya faqir bekas
jo qasr-e-shahi ko jagmaga de to jhopDe ko jhalak dikha de
chamak chamak ai nigar-e-geti ki tu hai paigham zindagi ka
ras apni kirnon ka khinch kar ab pila de ek jam zindagi ka
Nazm
Tulu-e-aftab
Ameer Aurangabadi