ek ek harf saja kar tujhe tahrir kiya
KHun ki nadiyan baha kar tujhe tahrir kiya
dard mein umr bita kar tujhe tahrir kiya
ab to kahta hai mera koi bhi kirdar nahin
mera kiya hai, main unhi raston mein rahta hun
mujh ko ye hukm hai ja, ja ke pattharon ko tarash
main azal se isi ek kaam mein laya gaya hun
main kabhi pir, payambar, kabhi shaer ki sifat
tere be-faiz zamane mein utara gaya hun
main to bahta hua dariya hun, samundar bhi hun
main to jugnu bhi hun, titli bhi hun, KHushbu bhi hun
main to jis rang mein bhi aaya hun, chhaya gaya hun
tu agar mujh ko na samjha to ai mere hamdam
main kisi roz tere hath se kho jaunga
aur tu waqt ke tapte hue sahraon mein
hath malta hua rota hua rah jaega
Nazm
Tujhe tahrir kiya
Nadeem Gullani