kabhi hawa
ek jhonka hai jo
diwaron ko phand ke akasr
halki si ek chap mein Dhal kar
sahn mein phirta rahta hai
kabhi hawa
ek sargoshi hai
jo khiDki se lag kar pahron
KHud se baaten karti hai
kabhi hawa
wo mauj-e-saba hai
jis ke pahle hi bose par
nannhi munni kaliyon ki
nindiya se bojhal
suji aankhen khul jati hain
kabhi hawa
ab kaise bataen
hawa ke rup to lakhon hain
par us ka wo ek rup
tujhe bhi yaad to hoga
jab sannaTe
pori pori TuT gire the
chap ke panw
ukhaD gae the
sargoshi par
kitni chiKHen jhapaT paDi thin
aur phulon ki aankhon se
shabnam ki bunden
farsh-e-zamin par
chaaron jaanib bikhar gai thin
Nazm
Tujhe bhi yaad to hoga
Wazir Agha